Khuwab aur Hum
Subah Bakhair!
Umeed kerta hun kay aik achi nend aur kuch achay khawab daikhnay kay baad din ka aghaz achay say kiya ho ga.
Mujhay tu umumun buray sapnay he athay hain, pata nahi raat bhar nend main kahan kahan mattargasht kerta rehta hun. Aesay khuwab hotay kay hairat hoti hay kay isi dunia main tah yah kahain aur he bathak gaya tah. Jesay kal daikha gehra samundarhay aur main nay koi aesa jootah pehna huwa jis ka siraf aik pawun ka punjah he andher pani main aur main iss pay chalta chala ja raha. Tathain marta samunder, dur dur tak kinaray ki koi jhalak nahi, abh bhai aesi surat main dar tu bunta hay na...
Crypto iss waqt lahu luhaan hay bilkul khaas ker Ethereum aur baqi kay sub he alt coins. Bitcoin kay girtay he sub mazeed nechay gir jatay hain. Chaar saal hunay ko aye lekin bull run ki umeed bunti nazar nahi a rahi. Abh hum log tu qareebun dus saal yani aik dihayi say yehi kaam kertay aye hain, aur kuchatha bhi nahi kehr say, bunda karay tu kiya karay.
Mehangayi ka shor hay, her shay ka bhaw asman ko chu raha hay. Zindagi ki dushwarian asan nahi hain. Oper say hum jis mulk main hain yahan koi nizam he nahi, koi madad he nahi parhaylikhay bunday kay liye. Allah he apna reham karay aur asaniyan paida karay, bunda tu zalim hay aur iss say koi umeed rakhni bilkul bay faida hay.
Chalain kafi gup shup ho gaye aj kay liye, ziada batain bhi achi nahi lagtain.
Yeh dua hay kay ap khush rahain aur khushiyan banthay rahain.
Miltay hain....
Posted via WorldBites