Halka Pulka Brunch
Subah bakhair!
Sajnu aur mithru kiya haal chaaaal hain. Umeed kerta hun kay hump day ka aghaz achaay say kiya ho ga. Zindagi ki ghari rawan dawan rahay yehi iss dunia ka mamool hay.
Brunch main tu abhi kabhaar he kerta hun, ap loog din main kitni martaba khana pasand kertay hain. Aj zara kch chut patta khanay ka mun tah. Tu laggay hathun aik qareeb kay cafee ki yatra ki aur zuban ki chasni say lutanduz huay. Bus cigarrete ki talub ho jati hay aesay he khanay kay baad. Lekin abh tu arsa e daraz ho gaya kay chorh dali yeh adat bhi. Abh kahan ki aqalmundi kay paisay bhi lagawu aur bemari ka bandubasth bhi karu.
Mosam kuch khushk sa hay, barish hui nahi kafi dnu say tu iss liye woh mosam e surma ki numi aur hunki abhi missing hay. Jarhay ki barish tu phir kayi kayi din lagatar barasti hay.
Steem kia abhi tu sub he crypto ka haal kuch acha nahi hay, lekin woh kehtay hain kay jub blood hu market main tu ap khareedtay chalay jayain, risk tu rehta he hay hamesha crypto main. Abhi tak loog isay puri tarah say samajh nahi pa rahay hain aur kuch loog he is say faida utha chukay aur utha rahay hain.
worldbites nay smart tariqay say power up ker kay Minnow category main mera rasta bundh ker diya #1 position kay liye, abh hum nay kunsa yahan rukna tah yaru, abhi tu steem power barhatay chalay jana hay jub tak kum say kum Orca nahi bun patay hum.
Tu lijiye janab iss power up kay sath he hum nay achieve ker liya her mahinay ka 1000 steem power ka target. Abhi tu ibtedaye ishq hay, agay agay dikhiye hota hay kiya.
Dolphine Pod main tu a gaye, abh agla parhau hay Whale Tank, 12 din hain abhi mazeed, umeed hay ponch he jayain gain wahan bhi.
Ap loog kesay power kertay hain, daily, weekly or monthly.
Aik khubsurat din ap kay liye naik tamanawun kay sath.
Khush rahain aur muskaratain bakharain...
Posted via WorldBites